Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_13e0dd4b524cfb79aba7145cec1a4f91, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Jo Ek Sail-e-fana Hai Mere Pichhe Pichhe - Ahmad Fareed Poetry In English - Darsaal

Ye Jo Ek Sail-e-fana Hai Mere Pichhe Pichhe

ye jo ek sail-e-fana hai mere pichhe pichhe

mere hone ki saza hai mere pichhe pichhe

aage aage hai mere dil ke chaTaKHne ki sada

aur meri gard-e-ana hai mere pichhe pichhe

zindagi thak ke kisi moD pe rukti hi nahin

kab se ye aabla-pa hai mere pichhe pichhe

apna saya to main dariya mein baha aaya tha

kaun phir bhag raha hai mere pichhe pichhe

panw par panw ko rakhta hai chala aata hai

mera naqsh-e-kaf-e-pa hai mere pichhe pichhe

meri tanhai se Takra ke palaT jaegi

ye jo KHushbu-e-qaba hai mere pichhe pichhe

main to dauDa hun KHud apne hi taaqub mein 'farid'

chand kyun bhag paDa hai mere pichhe pichhe

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Ek Sail-e-fana Hai Mere Pichhe Pichhe In English By Famous Poet Ahmad Fareed. Ye Jo Ek Sail-e-fana Hai Mere Pichhe Pichhe is written by Ahmad Fareed. Read famous Poem Ye Jo Ek Sail-e-fana Hai Mere Pichhe Pichhe for youth and Student by Ahmad Fareed. Free Download Ye Jo Ek Sail-e-fana Hai Mere Pichhe Pichhe in PDF.