Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_76597ea09d0bd0affe3fe4a4468681d0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Se Ek Chand Ki Chahat Mein Sitara Hua Hun - Ahmad Fareed Poetry In English - Darsaal

Jab Se Ek Chand Ki Chahat Mein Sitara Hua Hun

jab se ek chand ki chahat mein sitara hua hun

shahr-e-shab-zad ki aankhon ka sahaara hua hun

ai mere dard ke dariya ki rawani mujhe dekh

main tere qurb se kaT kaT ke kinara hua hun

zindagi! tujh sa munafiq bhi koi kya hoga

tera shahkar hun aur tera hi mara hua hun

bujh gae jab mere sab KHwab o charagh o mahtab

shahr-e-zulmat ko main tab ja ke gawara hua hun

samne phir mere apne hain so main jaanta hun

jit bhi jaun to ye jang main haara hua hun

zaKHm ginta hun shab-e-hijr mein aur sochta hun

main to apna bhi na tha kaise tumhaara hua hun

main payambar hun na ho sakta hun phir bhi 'ahmad'

aisa lagta hai sar-e-KHak utara hua hun

(1277) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Ek Chand Ki Chahat Mein Sitara Hua Hun In English By Famous Poet Ahmad Fareed. Jab Se Ek Chand Ki Chahat Mein Sitara Hua Hun is written by Ahmad Fareed. Read famous Poem Jab Se Ek Chand Ki Chahat Mein Sitara Hua Hun for youth and Student by Ahmad Fareed. Free Download Jab Se Ek Chand Ki Chahat Mein Sitara Hua Hun in PDF.