Din Se BichhDi Hui Baraat Liye Phirti Hai
din se bichhDi hui baraat liye phirti hai
chand taron ko kahan raat liye phirti hai
ye kahin us ke mazalim ka mudawa hi na ho
ye jo patton ko hawa sath liye phirti hai
chalte chalte hi sahi baat to kar li jae
hum ko duniya mein yahi baat liye phirti hai
lamha lamha teri furqat mein pighalti hui umr
garmi-e-shauq-e-mulaqat liye phirti hai
warna hum shahr-e-gul-azar mein kab aate the
ye to hum ko bhari-barsat liye phirti hai
jis taraf se main guzarta bhi nahin tha pahle
ab wahin gardish-e-haalat liye phirti hai
(804) Peoples Rate This