TaKHliq
dard ki aag bujha do ki abhi waqt nahin
zaKHm-e-dil jag sake nashtar-e-gham raqs kare
jo bhi sanson mein ghula hai use uryan na karo
chup bhi shola hai magar koi na ilzam dhare
aise ilzam ki KHud apne tarashe hue but
jazba-e-kawish-e-KHaliq ko nigun-sar karen
mu-qalam halqa-e-abru ko bana de KHanjar
lafz nauhon mein raqam madh-e-ruKH-e-yar karen
raqs-e-mina se uThe naghma-e-raqs-e-bismil
saz KHud apne mughanni ko gunahgar karen
marham-e-ashk nahin zaKHm-e-talab ka chaara
KHun bhi rooge to kis KHak ki saj-dhaj hogi
kanpte hathon se TuTi hui buniyaadon par
jo bhi diwar uThaoge wahi kaj hogi
koi patthar ho ki naghma koi paikar ho ki rang
jo bhi taswir banaoge apahaj hogi
(2224) Peoples Rate This