Sarhaden
kis se Darte ho ki sab log tumhaari hi tarah
ek se hain wahi aankhen wahi chehre wahi dil
kis pe shak karte ho jitne bhi musafir hain yahan
ek hi sab ka qabila wahi paikar wahi gil
hum to wo the ki mohabbat tha watira jin ka
pyar se milta to dushman ke bhi ho jate the
is tawaqqoa pe ki shayad koi mehman aa jae
ghar ke darwaze khule chhoD ke so jate the
hum to aae the ki dekhenge tumhaare qarye
wo dar-o-baam ki tariKH ke surat-gar hain
wo arine wo masajid wo kalisa wo mahal
aur wo log jo har naqsh se afzal-tar hain
rome ke but hon ki paris ki ho monalisa
keats ki qabr ho ya turbat-e-firdausi ho
qartaba ho ki ajanta ki mohanjodaDo
dida-e-shauq na mahrum-e-nazar-bosi ho
kis ne duniya ko bhi daulat ki tarah banTa hai
kis ne taqsim kiye hain ye asase sare
kis ne diwar tafawut ki uThai logo
kyun samundar ke kinare pe hain pyase sare
(2557) Peoples Rate This