Mujhse Pahle
mujh se pahle tujhe jis shaKHs ne chaha us ne
shayad ab bhi tera gham dil se laga rakkha ho
ek be-nam si ummid pe ab bhi shayad
apne KHwabon ke jaziron ko saja rakkha ho
main ne mana ki wo begana-e-paiman-e-wafa
kho chuka hai jo kisi aur ki ranai mein
shayad ab lauT ke aae na teri mahfil mein
aur koi dukh na rulae tujhe tanhai mein
main ne mana ki shab o roz ke hangamon mein
waqt har gham ko bhula deta hai rafta rafta
chahe ummid ki shamen hon ki yaadon ke charagh
mustaqil boad bujha deta hai rafta rafta
phir bhi mazi ka KHayal aata hai gahe-gahe
muddaten dard ki lau kam to nahin kar saktin
zaKHm bhar jaen magar dagh to rah jata hai
duriyon se kabhi yaaden to nahin mar saktin
ye bhi mumkin hai ki ek din wo pashiman ho kar
tere pas aae zamane se kinara kar le
tu ki masum bhi hai zud-faramosh bhi hai
us ki paiman-shikani ko bhi gawara kar le
aur main jis ne tujhe apna masiha samjha
ek zaKHm aur bhi pahle ki tarah sah jaun
jis pe pahle bhi kai ahd-e-wafa TuTe hain
isi do-rahe pe chup-chap khaDa rah jaun
(8895) Peoples Rate This