Muhasara
mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
wo barq lahar bujha di gai hai jis ki tapish
wajud-e-KHak mein aatish-fishan jagati thi
bichha diya gaya barud us ke pani mein
wo ju-e-ab jo meri gali ko aati thi
sabhi durida-dahan ab badan-darida hue
supurd-e-dar-o-rasan sare sar-kashida hue
tamam sufi o salik sabhi shuyuKH o imam
umid-e-lutf pe aiwan-e-kaj-kulah mein hain
moazzazin-e-adalat bhi half uThane ko
misal-e-sail-e-mubarram nashista rah mein hain
tum ahl-e-harf ki pindar ke sana-gar the
wo aasman-e-hunar ke nujum samne hain
bas ek musahib-e-darbar ke ishaare par
gada-garan-e-suKHan ke hujum samne hain
qalandaran-e-wafa ki asas to dekho
tumhaare sath hai kaun aas-pas to dekho
so shart ye hai jo jaan ki aman chahte ho
to apne lauh-o-qalam qatl-gah mein rakh do
wagarna ab ke nishana kaman-daron ka
bas ek tum ho so ghairat ko rah mein rakh do
ye shart-nama jo dekha to elchi se kaha
use KHabar nahin tariKH kya sikhati hai
ki raat jab kisi KHurshid ko shahid kare
to subh ek naya suraj tarash lati hai
so ye jawab hai mera mere adu ke liye
ki mujh ko hirs-e-karam hai na KHauf-e-KHamyaza
use hai satwat-e-shamshir par ghamanD bahut
use shikoh-e-qalam ka nahin hai andaza
mera qalam nahin kirdar us muhafiz ka
jo apne shahr ko mahsur kar ke naz kare
mera qalam nahin kasa kisi subuk-sar ka
jo ghasibon ko qasidon se sarfaraaz kare
mera qalam nahin auzar us naqab-zan ka
jo apne ghar ki hi chhat mein shigaf Dalta hai
mera qalam nahin us duzd-e-nim-shab ka rafiq
jo be-charagh gharon par kamand uchhaalta hai
mera qalam nahin tasbih us maballigh ki
jo bandagi ka bhi har dam hisab rakhta hai
mera qalam nahin mizan aise aadil ki
jo apne chehre pe dohra naqab rakhta hai
mera qalam to amanat hai mere logon ki
mera qalam to adalat mere zamir ki hai
isi liye to jo likkha tapak-e-jaan se likha
jabhi to loch kaman ka zaban tir ki hai
main kaT girun ki salamat rahun yaqin hai mujhe
ki ye hisar-e-sitam koi to giraega
tamam umr ki iza-nasibiyon ki qasam
mere qalam ka safar raegan na jaega
sarisht-e-ishq ne uftadgi nahin pai
tu qadd-e-sarw na bini o saya-paimai
(10614) Peoples Rate This