KHwabon Ke Byopari
hum KHwabon ke byopari the
par is mein hua nuqsan baDa
kuchh baKHt mein Dheron kalak thi
kuchh ab ke ghazab ka kal paDa
hum rakh liye hain jholi mein
aur sar pe hai sahukar khaDa
yan bund nahin hai Dewe mein
wo baj-byaj ki baat kare
hum banjh zamin ko takte hain
wo Dhor anaj ki baat kare
hum kuchh din ki mohlat mangen
wo aaj hi aaj ki baat kare
jab dharti sahra sahra thi
hum dariya dariya roe the
jab hath ki rekhaen chup thin
aur sur sangit mein soe the
tab hum ne jiwan-kheti mein
kuchh KHwab anokhe boe the
kuchh KHwab sajal muskanon ke
kuchh bol kabat diwanon ke
kuchh lafz jinhen mani na mile
kuchh git shikasta-jaanon ke
kuchh nir wafa ki shamon ke
kuchh par pagal parwanon ke
par apni ghayal aankhon se
KHush ho ke lahu chhiDkaya tha
maTi mein mas ki khad bhari
aur nas nas ko zaKHamaya tha
aur bhul gae pichhli rut mein
kya khoya tha kya paya tha
har bar gagan ne wahm diya
ab ke barkha jab aaegi
har bij se konpal phuTegi
aur har konpal phal laegi
sar par chhaya chhatri hogi
aur dhup ghaTa ban jaegi
jab fasl kaTi to kya dekha
kuchh dard ke TuTe gajre the
kuchh zaKHmi KHwab the kanTon par
kuchh KHakistar se kajre the
aur dur ufuq ke sagar mein
kuchh Dolte Dubte bajre the
ab panw khaDaun dhul-bhari
aur jism pe jog ka chola hai
sab sangi sathi bhed-bhare
koi masa hai koi tola hai
is tak mein ye is ghat mein wo
har or Thagon ka Tola hai
ab ghaT na ghar dahliz na dar
ab pas raha hai kya baba
bas tan ki gaThri baqi hai
ja ye bhi tu le ja baba
hum basti chhoDe jate hain
tu apna qarz chuka baba
(3508) Peoples Rate This