Hamdard
ai dil un aankhon par na ja
jin mein wafur-e-ranj se
kuchh der ko tere liye
aansu agar lahra gae
ye chand lamhon ki chamak
jo tujh ko pagal kar gai
in jugnuon ke nur se
chamki hai kab wo zindagi
jis ke muqaddar mein rahi
subh-e-talab se tirgi
kis soch mein gum-sum hai tu
ai be-KHabar nadan na ban
teri fasurda ruh ko
chahat ke kanTon ki talab
aur us ke daman mein faqat
hamdardiyon ke phul hain
(2959) Peoples Rate This