Ye Tabiat Hai To KHud Aazar Ban Jaenge Hum
ye tabiat hai to KHud aazar ban jaenge hum
chaaragar roenge aur gham-KHwar ban jaenge hum
hum sar-e-chaak-e-wafa hain aur tera dast-e-hunar
jo bana dega hamein ai yar ban jaenge hum
kya KHabar thi ai nigar-e-sher tere ishq mein
dilbaran-e-shahr ke dildar ban jaenge hum
saKHt-jaan hain par hamari ustuwari par na ja
aise TuTenge tera iqrar ban jaenge hum
aur kuchh din baiThne do ku-e-jaanan mein hamein
rafta rafta saya-e-diwar ban jaenge hum
is qadar aasan na hogi har kisi se dosti
aashnai mein tera mear ban jaenge hum
'mir' o 'ghaalib' kya ki ban pae nahin 'faiz' o 'firaq'
zoam ye tha 'rumi' o 'attar' ban jaenge hum
(3164) Peoples Rate This