Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7e1fa6588882a1342f0b350cbd106b3d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wahshaten BaDhti Gain Hijr Ke Aazar Ke Sath - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Wahshaten BaDhti Gain Hijr Ke Aazar Ke Sath

wahshaten baDhti gain hijr ke aazar ke sath

ab to hum baat bhi karte nahin gham-KHwar ke sath

hum ne ek umr basar ki hai gham-e-yar ke sath

'mir' do din na jiye hijr ke aazar ke sath

ab to hum ghar se nikalte hain to rakh dete hain

taq par izzat-e-sadat bhi dastar ke sath

is qadar KHauf hai ab shahr ki galiyon mein ki log

chap sunte hain to lag jate hain diwar ke sath

ek to KHwab liye phirte ho galiyon galiyon

us pe takrar bhi karte ho KHaridar ke sath

shahr ka shahr hi naseh ho to kya kijiyega

warna hum rind to bhiD jate hain do-chaar ke sath

hum ko us shahr mein tamir ka sauda hai jahan

log meamar ko chun dete hain diwar ke sath

jo sharaf hum ko mila kucha-e-jaanan se 'faraaz'

su-e-maqtal bhi gae hain usi pindar ke sath

(4944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshaten BaDhti Gain Hijr Ke Aazar Ke Sath In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Wahshaten BaDhti Gain Hijr Ke Aazar Ke Sath is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Wahshaten BaDhti Gain Hijr Ke Aazar Ke Sath for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Wahshaten BaDhti Gain Hijr Ke Aazar Ke Sath in PDF.