Usne Sukut-e-shab Mein Bhi Apna Payam Rakh Diya
us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya
hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya
aamad-e-dost ki nawed ku-e-wafa mein aam thi
main ne bhi ek charagh sa dil sar-e-sham rakh diya
shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya
us ne nazar nazar mein hi aise bhale suKHan kahe
main ne to us ke panw mein sara kalam rakh diya
dekho ye mere KHwab the dekho ye mere zaKHm hain
main ne to sab hisab-e-jaan bar-sar-e-am rakh diya
ab ke bahaar ne bhi kin aisi shararten ki bas
kabk-e-dari ki chaal mein tera KHiram rakh diya
jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha
us ne to sare shahr ko kar ke ghulam rakh diya
aur 'faraaz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe
maon ne tere nam par bachchon ka nam rakh diya
(5254) Peoples Rate This