Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_943130e22b279c64089be24b14c880cb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere Qarib Aa Ke BaDi Uljhanon Mein Hun - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Tere Qarib Aa Ke BaDi Uljhanon Mein Hun

tere qarib aa ke baDi uljhanon mein hun

main dushmanon mein hun ki tere doston mein hun

mujh se gurez-pa hai to har rasta badal

main sang-e-rah hun to sabhi raston mein hun

tu aa chuka hai sath pe kab se KHabar nahin

bedard main abhi unhin gahraiyon mein hun

ai yar-e-KHush-dayar tujhe kya KHabar ki main

kab se udasiyon ke ghane jangalon mein hun

tu luT kar bhi ahl-e-tamanna ko KHush nahin

yan luT ke bhi wafa ke inhi qafilon mein hun

badla na mere baad bhi mauzu-e-guftugu

main ja chuka hun phir bhi teri mahfilon mein hun

mujh se bichhaD ke tu bhi to roega umr bhar

ye soch le ki main bhi teri KHwahishon mein hun

tu hans raha hai mujh pe mera haal dekh kar

aur phir bhi main sharik tere qahqahon mein hun

KHud hi misal-e-lala-e-sahra lahu lahu

aur KHud 'faraaz' apne tamashaiyon mein hun

(4534) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Qarib Aa Ke BaDi Uljhanon Mein Hun In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Tere Qarib Aa Ke BaDi Uljhanon Mein Hun is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Tere Qarib Aa Ke BaDi Uljhanon Mein Hun for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Tere Qarib Aa Ke BaDi Uljhanon Mein Hun in PDF.