Tera Qurb Tha Ki Firaq Tha Wahi Teri Jalwagari Rahi
tera qurb tha ki firaq tha wahi teri jalwagari rahi
ki jo raushni tere jism ki thi mere badan mein bhari rahi
tere shahr mein main chala tha jab to koi bhi sath na tha mere
to main kis se mahw-e-kalam tha to ye kis ki ham-safari rahi
mujhe apne aap pe man tha ki na jab talak tera dhyan tha
tu misal thi meri aagahi tu kamal-e-be-KHabari rahi
mere aashna bhi ajib the na rafiq the na raqib the
mujhe jaan se dard aziz tha unhen fikr-e-chaaragari rahi
main ye jaanta tha mera hunar hai shikast-o-reKHt se mo'tabar
jahan log sang-ba-dast the wahin meri shishagari rahi
jahan nasehon ka hujum tha wahin aashiqon ki bhi dhum thi
jahan baKHiya-gar the gali gali wahin rasm-e-jama-dari rahi
tere pas aa ke bhi jaane kyun meri tishnagi mein hiras tha
ba-misal-e-chashm-e-ghazal jo lab-e-abju bhi Dari rahi
jo hawas farosh the shahr ke sabhi mal bech ke ja chuke
magar ek jins-e-wafa meri sar-e-rah dhari ki dhari rahi
mere naqidon ne faraaz jab mera harf harf parakh liya
to kaha ki ahd-e-riya mein bhi jo baat khari thi khari rahi
(2294) Peoples Rate This