TaDap UThun Bhi To Zalim Teri Duhai Na Dun
taDap uThun bhi to zalim teri duhai na dun
main zaKHm zaKHm hun phir bhi tujhe dikhai na dun
tere badan mein dhaDakne laga hun dil ki tarah
ye aur baat ki ab bhi tujhe sunai na dun
KHud apne aap ko parkha to ye nadamat hai
ki ab kabhi use ilzam-e-bewafai na dun
meri baqa hi meri KHwahish-e-gunah mein hai
main zindagi ko kabhi zahr-e-parsai na dun
jo Than gai hai to yari pe harf kyun aae
harif-e-jaan ko kabhi tan-e-ashnai na dun
mujhe bhi DhunD kabhi mahw-e-aina-dari
main tera aks hun lekin tujhe dikhai na dun
ye hausla bhi baDi baat hai shikast ke baad
ki dusron ko to ilzam-e-na-rasai na dun
'faraaz' daulat-e-dil hai mata-e-mahrumi
main jam-e-jam ke ewaz kasa-e-gadai na dun
(3266) Peoples Rate This