Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a31181ef1762067447991ac8c13a6079, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain

suna hai rabt hai us ko KHarab-haalon se

so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain

suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki

so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf

so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain

suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain

ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

suna hai raat use chand takta rahta hai

sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain

suna hai din ko use titliyan satati hain

suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain

suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen

suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki

suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain

suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai

so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain

suna hai us ke labon se gulab jalte hain

so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain

suna hai aaina timsal hai jabin us ki

jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain

suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein

mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain

suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein

palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain

suna hai us ke badan ki tarash aisi hai

ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain

wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin

ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain

bas ek nigah se luTta hai qafila dil ka

so rah-rawan-e-tamanna bhi Dar ke dekhte hain

suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht

makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

ruke to gardishen us ka tawaf karti hain

chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain

kise nasib ki be-pairahan use dekhe

kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain

kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi

agar wo KHwab hai tabir kar ke dekhte hain

ab us ke shahr mein Thahren ki kuch kar jaen

'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain

(40158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain in PDF.