Shaguft-e-gul Ki Sada Mein Rang-e-chaman Mein Aao
shaguft-e-gul ki sada mein rang-e-chaman mein aao
koi bhi rut ho bahaar ke pairahan mein aao
koi safar ho tumhin ko manzil samajh ke jaun
koi masafat ho tum meri hi lagan mein aao
kabhi to aisa bhi ho ki logon ki baat sun kar
meri taraf tum raqabaton ki jalan mein aao
wo jis ghurur aur naz se tum chale gae the
kabhi usi tamkanat usi bankpan mein aao
ye kyun hamesha meri talab hi tumhein sada de
kabhi to KHud bhi supurdagi ki thakan mein aao
hazar muflis sahi magar hum saKHi bala ke
kabhi to tum ahl-e-dard ki anjuman mein aao
hum ahl-e-dil hain hamari aqlim harf ki hai
kabhi to jaan-e-suKHan dayar-e-suKHan mein aao
kabhi kabhi duriyon se koi pukarta hai
'faraaz' jaani 'faraaz' pyare watan mein aao
(2488) Peoples Rate This