Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_69638d1ad33e46d4308cb5750ee9b944, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sabhi Kahen Mere Gham-KHwar Ke Alawa Bhi - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Sabhi Kahen Mere Gham-KHwar Ke Alawa Bhi

sabhi kahen mere gham-KHwar ke alawa bhi

koi to baat karun yar ke alawa bhi

bahut se aise sitamgar the ab jo yaad nahin

kisi habib-e-dil-azar ke alawa bhi

ye kya ki tum bhi sar-e-rah haal puchhte ho

kabhi milo hamein bazar ke alawa bhi

ujaD ghar mein ye KHushbu kahan se aai hai

koi to hai dar-o-diwar ke alawa bhi

so dekh kar tere ruKHsar o lab yaqin aaya

ki phul khilte hain gulzar ke alawa bhi

kabhi 'faraaz' se aa kar milo jo waqt mile

ye shaKHs KHub hai ashaar ke alawa bhi

(3437) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabhi Kahen Mere Gham-KHwar Ke Alawa Bhi In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Sabhi Kahen Mere Gham-KHwar Ke Alawa Bhi is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Sabhi Kahen Mere Gham-KHwar Ke Alawa Bhi for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Sabhi Kahen Mere Gham-KHwar Ke Alawa Bhi in PDF.