Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa
ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa
kuchh to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se KHafa hai to zamane ke liye aa
ek umr se hun lazzat-e-girya se bhi mahrum
ai rahat-e-jaan mujh ko rulane ke liye aa
ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hain ummiden
ye aaKHiri shamen bhi bujhane ke liye aa
(5204) Peoples Rate This