Qurb-e-jaanan Ka Na Mai-KHane Ka Mausam Aaya
qurb-e-jaanan ka na mai-KHane ka mausam aaya
phir se be-sarfa ujaD jaane ka mausam aaya
kunj-e-ghurbat main kabhi gosha-e-zindan mein the hum
jaan-e-jaan jab bhi tere aane ka mausam aaya
ab lahu rone ki KHwahish na lahu hone ki
dil-e-zinda tere mar jaane ka mausam aaya
kucha-e-yar se har fasl mein guzre hain magar
shayad ab jaan se guzar jaane ka mausam aaya
koi zanjir koi harf-e-KHirad le aaya
fasl-e-gul aai ki diwane ka mausam aaya
sail-e-KHun shahr ki galiyon mein dar aaya hai 'faraaz'
aur tu KHush hai ki ghar jaane ka mausam aaya
(2588) Peoples Rate This