Phir Usi Rahguzar Par Shayad
phir usi rahguzar par shayad
hum kabhi mil saken magar shayad
jin ke hum muntazir rahe un ko
mil gae aur ham-safar shayad
jaan-pahchan se bhi kya hoga
phir bhi ai dost ghaur kar shayad
ajnabiyyat ki dhund chhaT jae
chamak uTThe teri nazar shayad
zindagi bhar lahu rulaegi
yaad-e-yaran-e-be-KHabar shayad
jo bhi bichhDe wo kab mile hain 'faraaz'
phir bhi tu intizar kar shayad
(8361) Peoples Rate This