Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b4cc3aad3868d103acc949de2d986d15, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pech Rakhte Ho Bahut Sahibo Dastar Ke Bich - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Pech Rakhte Ho Bahut Sahibo Dastar Ke Bich

pech rakhte ho bahut sahibo dastar ke bich

hum ne sar girte hue dekhe hain bazar ke bich

baghbanon ko ajab ranj se takte hain gulab

gul-farosh aaj bahut jama hain gulzar ke bich

qatil is shahr ka jab banT raha tha mansab

ek darwesh bhi dekha usi darbar ke bich

kaj-adaon ki inayat hai ki hum se ushshaq

kabhi diwar ke pichhe kabhi diwar ke bich

tum ho na-KHush to yahan kaun hai KHush phir bhi 'faraaz'

log rahte hain isi shahr-e-dil-azar ke bich

(3283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pech Rakhte Ho Bahut Sahibo Dastar Ke Bich In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Pech Rakhte Ho Bahut Sahibo Dastar Ke Bich is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Pech Rakhte Ho Bahut Sahibo Dastar Ke Bich for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Pech Rakhte Ho Bahut Sahibo Dastar Ke Bich in PDF.