Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8b067525a39cf31dd78b4eae45e122bc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Payam Aae Hain Us Yar-e-bewafa Ke Mujhe - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Payam Aae Hain Us Yar-e-bewafa Ke Mujhe

payam aae hain us yar-e-bewafa ke mujhe

jise qarar na aaya kahin bhula ke mujhe

judaiyan hon to aisi ki umr bhar na milen

fareb do to zara silsile baDha ke mujhe

nashe se kam to nahin yaad-e-yar ka aalam

ki le uDa hai koi dosh par hawa ke mujhe

main KHud ko bhul chuka tha magar jahan wale

udas chhoD gae aaina dikha ke mujhe

tumhaare baam se ab kam nahin hai rifat-e-dar

jo dekhna ho to dekho nazar uTha ke mujhe

khinchi hui hai mere aansuon mein ek taswir

'faraaz' dekh raha hai wo muskura ke mujhe

(2624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Payam Aae Hain Us Yar-e-bewafa Ke Mujhe In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Payam Aae Hain Us Yar-e-bewafa Ke Mujhe is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Payam Aae Hain Us Yar-e-bewafa Ke Mujhe for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Payam Aae Hain Us Yar-e-bewafa Ke Mujhe in PDF.