Nazar Bujhi To Karishme Bhi Roz-o-shab Ke Gae
nazar bujhi to karishme bhi roz-o-shab ke gae
ki ab talak nahin aae hain log jab ke gae
karega kaun teri bewafaiyon ka gila
yahi hai rasm-e-zamana to hum bhi ab ke gae
magar kisi ne hamein ham-safar nahin jaana
ye aur baat ki hum sath sath sab ke gae
ab aae ho to yahan kya hai dekhne ke liye
ye shahr kab se hai viran wo log kab ke gae
girafta-dil the magar hausla na haara tha
girafta-dil mein magar hausle bhi ab ke gae
tum apni sham-e-tamanna ko ro rahe ho 'faraaz'
in aandhiyon mein to pyare charagh sab ke gae
(3987) Peoples Rate This