Na Tera Qurb Na Baada Hai Kya Kiya Jae
na tera qurb na baada hai kya kiya jae
phir aaj dukh bhi ziyaada hai kya kiya jae
hamein bhi arz-e-tamanna ka Dhab nahin aata
mizaj-e-yar bhi sada hai kya kiya jae
kuchh apne dost bhi tarkash-ba-dosh phirte hain
kuchh apna dil bhi kushada hai kya kiya jae
wo mehrban hai magar dil ki hirs bhi kam ho
talab karam se ziyaada hai kya kiya jae
na us se tark-e-talluq ki baat kar paen
na hamdami ka irada hai kya kiya jae
suluk-e-yar se dil Dubne laga hai 'faraaz'
magar ye mahfil-e-ada hai kya kiya jae
(3014) Peoples Rate This