Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3175e06f99e03af8fdc0187c1e330097, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Manzilon Ko Na Hum Rahguzar Ko Dekhte Hain - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Na Manzilon Ko Na Hum Rahguzar Ko Dekhte Hain

na manzilon ko na hum rahguzar ko dekhte hain

ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte hain

na puchh jab wo guzarta hai be-niyazi se

to kis malal se hum nama-bar ko dekhte hain

tere jamal se haT kar bhi ek duniya hai

ye ser-chashm magar kab udhar ko dekhte hain

ajab fusun-e-KHaridar ka asar hai ki hum

usi ki aankh se apne hunar ko dekhte hain

'faraaz' dar-KHur-e-sajda har aastana nahin

hum apne dil ke hawale se dar ko dekhte hain

(3557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Manzilon Ko Na Hum Rahguzar Ko Dekhte Hain In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Na Manzilon Ko Na Hum Rahguzar Ko Dekhte Hain is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Na Manzilon Ko Na Hum Rahguzar Ko Dekhte Hain for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Na Manzilon Ko Na Hum Rahguzar Ko Dekhte Hain in PDF.