Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8b2c01e1eb0158eb59d67c57ffaa6cdc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Dil Se Aah Na Lab Se Sada Nikalti Hai - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Na Dil Se Aah Na Lab Se Sada Nikalti Hai

na dil se aah na lab se sada nikalti hai

magar ye baat baDi dur ja nikalti hai

sitam to ye hai ki ahd-e-sitam ke jate hi

tamam KHalq meri ham-nawa nikalti hai

visal-o-hijr ki hasrat mein ju-e-kam-maya

kabhi kabhi kisi sahra mein ja nikalti hai

main kya karun mere qatil na chahne par bhi

tere liye mere dil se dua nikalti hai

wo zindagi ho ki duniya 'faraaz' kya kije

ki jis se ishq karo bewafa nikalti hai

(4845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Dil Se Aah Na Lab Se Sada Nikalti Hai In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Na Dil Se Aah Na Lab Se Sada Nikalti Hai is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Na Dil Se Aah Na Lab Se Sada Nikalti Hai for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Na Dil Se Aah Na Lab Se Sada Nikalti Hai in PDF.