Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqrir Ka
muntazir kab se tahayyur hai teri taqrir ka
baat kar tujh par guman hone laga taswir ka
raat kya soe ki baqi umr ki nind uD gai
KHwab kya dekha ki dhaDka lag gaya tabir ka
kaise paya tha tujhe phir kis tarah khoya tujhe
mujh sa munkir bhi to qael ho gaya taqdir ka
jis tarah baadal ka saya pyas bhaDkata rahe
main ne ye aalam bhi dekha hai teri taswir ka
jaane kis aalam mein tu bichhDa ki hai tere baghair
aaj tak har naqsh fariyaadi meri tahrir ka
ishq mein sar phoDna bhi kya ki ye be-mehr log
ju-e-KHun ko nam de dete hain ju-e-shir ka
jis ko bhi chaha use shiddat se chaha hai 'faraaz'
silsila TuTa nahin hai dard ki zanjir ka
(3676) Peoples Rate This