Kisi Jaanib Se Bhi Parcham Na Lahu Ka Nikla
kisi jaanib se bhi parcham na lahu ka nikla
ab ke mausam mein bhi aalam wahi hu ka nikla
dast-e-qatil se kuchh ummid-e-shafa thi lekin
nok-e-KHanjar se bhi kanTa na gulu ka nikla
ishq ilzam lagata tha hawas par kya kya
ye munafiq bhi tere wasl ka bhuka nikla
ji nahin chahta mai-KHane ko jaen jab se
shaiKH bhi bazm-nashin ahl-e-subu ka nikla
dil ko hum chhoD ke duniya ki taraf aae the
ye shabistan bhi isi ghaaliya-mu ka nikla
hum abas sozan-o-rishta liye galiyon mein phire
kisi dil mein na koi kaam rafu ka nikla
yar-e-be-faiz se kyun hum ko tawaqqo thi 'faraaz'
jo na apna na hamara na adu ka nikla
(1859) Peoples Rate This