Karun Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaun Use
karun na yaad magar kis tarah bhulaun use
ghazal bahana karun aur gungunaun use
wo KHar KHar hai shaKH-e-gulab ki manind
main zaKHm zaKHm hun phir bhi gale lagaun use
ye log tazkire karte hain apne logon ke
main kaise baat karun ab kahan se laun use
magar wo zud-faramosh zud-ranj bhi hai
ki ruTh jae agar yaad kuchh dilaun use
wahi jo daulat-e-dil hai wahi jo rahat-e-jaan
tumhaari baat pe ai naseho ganwaun use
jo ham-safar sar-e-manzil bichhaD raha hai 'faraaz'
ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use
(3401) Peoples Rate This