Kal Humne Bazm-e-yar Mein Kya Kya Sharab Pi
kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi
sahra ki tishnagi thi so dariya sharab pi
apnon ne taj diya hai to ghairon mein ja ke baiTh
ai KHanuman-KHarab na tanha sharab pi
tu ham-safar nahin hai to kya sair-e-gulistan
to ham-subu nahin hai to phir kya sharab pi
ai dil-girafta-e-gham-e-jaanan subu uTha
ai kushta-e-jafa-e-zamana sharab pi
ek mehrban buzurg ne ye mashwara diya
dukh ka koi ilaj nahin ja sharab pi
baadal garaj raha tha idhar mohtasib udhar
phir jab talak ye uqda na suljha sharab pi
ai tu ki tere dar pe hain rindon ke jamghaTe
ek roz us faqir ke ghar aa sharab pi
do jam un ke nam bhi ai pir-e-mai-kada
jin raftagan ke sath hamesha sharab pi
kal hum se apna yar KHafa ho gaya 'faraaz'
shayad ki hum ne had se ziyaada sharab pi
(3308) Peoples Rate This