Jo Qurbaton Ke Nashe The Wo Ab Utarne Lage
jo qurbaton ke nashe the wo ab utarne lage
hawa chali hai to jhonke udas karne lage
gai ruton ka talluq bhi jaan-lewa tha
bahut se phul nae mausamon mein marne lage
wo muddaton ki judai ke baad hum se mila
to is tarah se ki ab hum gurez karne lage
ghazal mein jaise tere KHadd-o-KHal bol uThen
ki jis tarah teri taswir baat karne lage
bahut dinon se wo gambhir KHamushi hai 'faraaz'
ki log apne KHayalon se aap Darne lage
(2656) Peoples Rate This