Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ad3679131792e16f22880f39495cccf4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Ghair The Wo Isi Baat Par Hamare Hue - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Jo Ghair The Wo Isi Baat Par Hamare Hue

jo ghair the wo isi baat par hamare hue

ki hum se dost bahut be-KHabar hamare hue

kise KHabar wo mohabbat thi ya raqabat thi

bahut se log tujhe dekh kar hamare hue

ab ek hujum-e-shikasta-dilan hai sath apne

jinhen koi na mila ham-safar hamare hue

kisi ne gham to kisi ne mizaj-e-gham baKHsha

sab apni apni jagah chaaragar hamare hue

bujha ke taq ki shamen na dekh taron ko

isi junun mein to barbaad ghar hamare hue

wo e'timad kahan se 'faraaz' laenge

kisi ko chhoD ke wo ab agar hamare hue

(3783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ghair The Wo Isi Baat Par Hamare Hue In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Jo Ghair The Wo Isi Baat Par Hamare Hue is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Jo Ghair The Wo Isi Baat Par Hamare Hue for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Jo Ghair The Wo Isi Baat Par Hamare Hue in PDF.