Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_72f17cb29783fded9e20d900e5231f29, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Bhi Darun-e-dil Hai Wo Bahar Na Aaega - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Jo Bhi Darun-e-dil Hai Wo Bahar Na Aaega

jo bhi darun-e-dil hai wo bahar na aaega

ab aagahi ka zahr zaban par na aaega

ab ke bichhaD ke us ko nidamat thi is qadar

ji chahta bhi ho to palaT kar na aaega

yun phir raha hai kanch ka paikar liye hue

ghafil ko ye guman hai ki patthar na aaega

phir bo raha hun aaj unhin sahilon pe phul

phir jaise mauj mein ye samundar na aaega

main jaan-ba-lab hun tark-e-talluq ke zahr se

wo mutmain ki harf to us par na aaega

(2120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Bhi Darun-e-dil Hai Wo Bahar Na Aaega In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Jo Bhi Darun-e-dil Hai Wo Bahar Na Aaega is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Jo Bhi Darun-e-dil Hai Wo Bahar Na Aaega for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Jo Bhi Darun-e-dil Hai Wo Bahar Na Aaega in PDF.