Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_70fdb1afabb43a23633eb2fc932be423, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jis Se Ye Tabiat BaDi Mushkil Se Lagi Thi - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Jis Se Ye Tabiat BaDi Mushkil Se Lagi Thi

jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi

dekha to wo taswir har ek dil se lagi thi

tanhai mein rote hain ki yun dil ko sukun ho

ye choT kisi sahab-e-mahfil se lagi thi

ai dil tere aashob ne phir hashr jagaya

bedard abhi aankh bhi mushkil se lagi thi

KHilqat ka ajab haal tha us ku-e-sitam mein

sae ki tarah daman-e-qatil se lagi thi

utra bhi to kab dard ka chaDhta hua dariya

jab kashti-e-jaan maut ke sahil se lagi thi

(2336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Se Ye Tabiat BaDi Mushkil Se Lagi Thi In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Jis Se Ye Tabiat BaDi Mushkil Se Lagi Thi is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Jis Se Ye Tabiat BaDi Mushkil Se Lagi Thi for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Jis Se Ye Tabiat BaDi Mushkil Se Lagi Thi in PDF.