Jab Har Ek Shahr Balaon Ka Thikana Ban Jae
jab har ek shahr balaon ka Thikana ban jae
kya KHabar kaun kahan kis ka nishana ban jae
ishq KHud apne raqibon ko baham karta hai
hum jise pyar karen jaan-e-zamana ban jae
itni shiddat se na mil tu ki judai chahen
yahi qurbat teri duri ka bahana ban jae
jo ghazal aaj tere hijr mein likkhi hai wo kal
kya KHabar ahl-e-mohabbat ka tarana ban jae
karta rahta hun faraham main zar-e-zaKHm ki yun
shayad aainda zamanon ka KHazana ban jae
is se baDh kar koi inam-e-hunar kya hai 'faraaz'
apne hi ahd mein ek shaKHs fasana ban jae
(2202) Peoples Rate This