Ishq Nashsha Hai Na Jadu Jo Utar Bhi Jae
ishq nashsha hai na jadu jo utar bhi jae
ye to ek sail-e-bala hai so guzar bhi jae
talKHi-e-kaam-o-dahan kab se azab-e-jaan hai
ab to ye zahr rag o pai mein utar bhi jae
ab ke jis dasht-e-tamanna mein qadam rakkha hai
dil to kya chiz hai imkan hai ki sar bhi jae
hum bagulon ki tarah KHak-basar phirte hain
panw shal hon to ye aashob-e-safar bhi jae
luT chuke ishq mein ek bar to phir ishq karo
kis ko malum ki taqdir sanwar bhi jae
shahr-e-jaanan se pare bhi kai duniyaen hain
hai koi aisa musafir jo udhar bhi jae
is qadar qurb ke baad aise juda ho jaana
koi kam-hausla insan ho to mar bhi jae
ek muddat se muqaddar hai gharib-ul-watani
koi pardes mein na-KHush ho to ghar bhi jae
(2501) Peoples Rate This