Hum To KHush The Ki Chalo Dil Ka Junun Kuchh Kam Hai
hum to KHush the ki chalo dil ka junun kuchh kam hai
ab jo aaram bahut hai to sukun kuchh kam hai
rang-e-girya ne dikhai nahin agli si bahaar
ab ke lagta hai ki aamezish-e-KHun kuchh kam hai
ab tera hijr musalsal hai to ye bhed khula
gham-e-dil se gham-e-duniya ka fusun kuchh kam hai
us ne dukh sare zamane ka mujhe baKHsh diya
phir bhi lalach ka taqaza hai kahun kuchh kam hai
rah-e-dunya se nahin dil ki guzargah se aa
fasla garche ziyaada hai pe yun kuchh kam hai
tu ne dekha hi nahin mujh ko bhale waqton mein
ye KHarabi ki main jis haal mein hun kuchh kam hai
aag hi aag mere qarya-e-tan mein hai 'faraaz'
phir bhi lagta hai abhi soz-e-darun kuchh kam hai
(2612) Peoples Rate This