Hum Bhi Shaer The Kabhi Jaan-e-suKHan Yaad Nahin
hum bhi shaer the kabhi jaan-e-suKHan yaad nahin
tujh ko bhule hain to dil-dari-e-fan yaad nahin
dil se kal mahw-e-takallum the to malum hua
koi kakul koi lab koi dahan yaad nahin
aql ke shahr mein aaya hai to yun gum hai junun
lab-e-goya ko bhi be-saKHta-pan yaad nahin
awwal awwal to na the waqif-e-adab-e-qafas
aur ab rasm-o-rah-e-ahl-e-chaman yaad nahin
har koi nawak o tarkash ki dukan puchhta hai
kisi gahak ko magar apna badan yaad nahin
waqt kis dasht-e-faramoshi mein le aaya hai
ab tera nam bhi KHakam-ba-dahan yaad nahin
ye bhi kya kam hai gharib-ul-watani mein ki 'faraaz'
hum ko be-mehri-e-arbab-e-watan yaad nahin
(2886) Peoples Rate This