Hawa Ke Zor Se Pindar-e-baam-o-dar Bhi Gaya
hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya
charagh ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya
pukarte rahe mahfuz kashtiyon wale
main Dubta hua dariya ke par utar bhi gaya
ab ehtiyat ki diwar kya uThate ho
jo chor dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya
main chup raha ki isi mein thi aafiyat jaan ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya
sulagte sochte viran mausamon ki tarah
kaDa tha ahd-e-jawani magar guzar bhi gaya
jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo nam lab pe raha zehn se utar bhi gaya
phaTi phaTi hui aankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis shaKHs ki wo mar bhi gaya
magar falak ko adawat usi ke ghar se thi
jahan 'faraaz' na tha sail-e-gham udhar bhi gaya
(2531) Peoples Rate This