Har Koi Turra-e-pechaak Pahan Kar Nikla
har koi turra-e-pechaak pahan kar nikla
ek main pairahan-e-KHak pahan kar nikla
aur phir sab ne ye dekha ki isi maqtal se
mera qatil meri poshak pahan kar nikla
ek banda tha ki oDhe tha KHudai sari
ek sitara tha ki aflak pahan kar nikla
aisi nafrat thi ki is shahr ko jab aag lagi
har bagula KHas-o-KHashak pahan kar nikla
tarkash o dam abas le ke chala hai sayyaad
jo bhi naKHchir hai fitrak pahan kar nikla
us ke qamat se use jaan gae log 'faraaz'
jo labaada bhi wo chaalak pahan kar nikla
(1796) Peoples Rate This