Har Ek Baat Na Kyun Zahr Si Hamari Lage
har ek baat na kyun zahr si hamari lage
ki hum ko dast-e-zamana se zaKHm kari lage
udasiyan hon musalsal to dil nahin rota
kabhi kabhi ho to ye kaifiyat bhi pyari lage
ba-zahir ek hi shab hai firaq-e-yar magar
koi guzarne baiThe to umr sari lage
ilaj is dil-e-dard-ashna ka kya kije
ki tir ban ke jise harf-e-gham-gusari lage
hamare pas bhi baiTho bas itna chahte hain
hamare sath tabiat agar tumhaari lage
'faraaz' tere junun ka KHayal hai warna
ye kya zarur wo surat sabhi ko pyari lage
(2168) Peoples Rate This