Har Aashna Mein Kahan KHu-e-mehrmana Wo
har aashna mein kahan KHu-e-mehrmana wo
ki bewafa tha magar dost tha purana wo
pukarte hain mah-o-sal manzilon ki tarah
laga hai tausn-e-hasti ko taziyana wo
hamein bhi gham-talabi ka nahin raha yara
tere bhi rang nahin gardish-e-zamana wo
ab apni KHwahishen kya kya use rulati hain
ye baat hum ne kahi thi magar na mana wo
yahi kahenge ki bas surat-ashnai thi
jo ahd TuT chuka yaad kya dilana wo
is ek shakl mein kya kya na suraten dekhin
nigar tha nazar aaya nigar-KHana wo
bujha diya hai tujhe bhi 'faraaz' duniya ne
kahan gaya tera har waqt muskurana wo
(2076) Peoples Rate This