Gila Fuzul Tha Ahd-e-wafa Ke Hote Hue
gila fuzul tha ahd-e-wafa ke hote hue
so chup raha sitam-e-na-rawa ke hote hue
ye qurbaton mein ajab fasle paDe ki mujhe
hai aashna ki talab aashna ke hote hue
wo hila-gar hain jo majburiyan shumar karen
charagh hum ne jalae hawa ke hote hue
na chahne pe bhi tujh ko KHuda se mang liya
ye haal hai dil-e-be-muddaa ke hote hue
na kar kisi pe bharosa ki kashtiyan Duben
KHuda ke hote hue naKHuda ke hote hue
magar ye ahl-e-riya kis qadar barahna hain
galim o dalq o aba o qaba ke hote hue
kise KHabar hai ki kasa-ba-dast phirte hain
bahut se log saron par huma ke hote hue
'faraaz' aise bhi lamhe kabhi kabhi aae
ki dil-girafta rahe dilruba ke hote hue
(4719) Peoples Rate This