Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d138c08a96c5c2b0507c40c403bff2e4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghanim Se Bhi Adawat Mein Had Nahin Mangi - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Ghanim Se Bhi Adawat Mein Had Nahin Mangi

ghanim se bhi adawat mein had nahin mangi

ki haar man li lekin madad nahin mangi

hazar shukr ki hum ahl-e-harf-e-zinda ne

mujaviran-e-adab se sanad nahin mangi

bahut hai lamha-e-maujud ka sharaf bhi mujhe

so apne fan se baqa-e-abad nahin mangi

qubul wo jise karta wo iltija nahin ki

dua jo wo na kare mustarad nahin mangi

main apne jama-e-sad-chaak se bahut KHush hun

kabhi aba-o-qaba-e-KHirad nahin mangi

shahid jism salamat uThae jate hain

jabhi to gor-kanon se lahad nahin mangi

main sar-barahna raha phir bhi sar-kashida raha

kabhi kulah se tauqir-e-qad nahin mangi

ata-e-dard mein wo bhi nahin tha dil ka gharib

'faraaz' main ne bhi baKHshish mein had nahin mangi

(2475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghanim Se Bhi Adawat Mein Had Nahin Mangi In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Ghanim Se Bhi Adawat Mein Had Nahin Mangi is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Ghanim Se Bhi Adawat Mein Had Nahin Mangi for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Ghanim Se Bhi Adawat Mein Had Nahin Mangi in PDF.