Faqih-e-shahr Ki Majlis Se Kuchh Bhala Na Hua
faqih-e-shahr ki majlis se kuchh bhala na hua
ki us se mil ke mizaj aur kafirana hua
abhi abhi wo mila tha hazar baaten kin
abhi abhi wo gaya hai magar zamana hua
wo raat bhul chuko wo suKHan na doharao
wo raat KHwab hui wo suKHan fasana hua
kuchh ab ke aise kaDe the firaq ke mausam
teri hi baat nahin main bhi kya se kya na hua
hujum aisa ki rahen nazar nahin aatin
nasib aisa ki ab tak to qafila na hua
shahid-e-shab faqat ahmad-'faraaz' hi to nahin
ki jo charagh-ba-kaf tha wahi nishana hua
(1944) Peoples Rate This