Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a03212763045b191f78ad97c8e107aba, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Munafiq Tha Shab-e-hijr Mein Soya Kaisa - Ahmad Faraz Poetry In English - Darsaal

Dil Munafiq Tha Shab-e-hijr Mein Soya Kaisa

dil munafiq tha shab-e-hijr mein soya kaisa

aur jab tujh se mila TuT ke roya kaisa

zindagi mein bhi ghazal hi ka qarina rakkha

KHwab-dar-KHwab tere gham ko piroya kaisa

ab to chehron pe bhi katbon ka guman hota hai

aankhen pathrai hui hain lab-e-goya kaisa

dekh ab qurb ka mausam bhi na sarsabz lage

hijr hi hijr marasim mein samoya kaisa

ek aansu tha ki dariya-e-nadamat tha 'faraaz'

dil se bebak shanawar ko Duboya kaisa

(3422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Munafiq Tha Shab-e-hijr Mein Soya Kaisa In English By Famous Poet Ahmad Faraz. Dil Munafiq Tha Shab-e-hijr Mein Soya Kaisa is written by Ahmad Faraz. Read famous Poem Dil Munafiq Tha Shab-e-hijr Mein Soya Kaisa for youth and Student by Ahmad Faraz. Free Download Dil Munafiq Tha Shab-e-hijr Mein Soya Kaisa in PDF.