Dil Badan Ka Sharik-e-haal Kahan
dil badan ka sharik-e-haal kahan
hijr phir hijr hai visal kahan
ishq hai nam intihaon ka
is samundar mein e'tidal kahan
aisa nashsha to zahr mein bhi na tha
ai gham-e-dil teri misal kahan
hum ko bhi apni paemali ka
hai magar is qadar malal kahan
main nai dosti ke moD pe tha
aa gaya hai tera KHayal kahan
dil ki KHush-fahm tha so hai warna
tere milne ka ehtimal kahan
wasl o hijran hain aur duniyaen
in zamanon mein mah-o-sal kahan
tujh ko dekha to log hairan hain
aa gaya shahr mein ghazal kahan
tujh pe likkhi to saj gai hai ghazal
aa mila KHwab se KHayal kahan
ab to shah mat ho rahi hai 'faraaz'
ab bachaw ki koi chaal kahan
(1773) Peoples Rate This