Chale The Yar BaDe Zoam Mein Hawa Ki Tarah
chale the yar baDe zoam mein hawa ki tarah
palaT ke dekha to baiThe hain naqsh-e-pa ki tarah
mujhe wafa ki talab hai magar har ek se nahin
koi mile magar us yar-e-bewafa ki tarah
mere wajud ka sahra hai muntazir kab se
kabhi to aa jaras-e-ghuncha ki sada ki tarah
wo ajnabi tha to kyun mujh se pher kar aankhen
guzar gaya kisi derina aashna ki tarah
kashan kashan liye jati hai jaanib-e-manzil
nafas ki Dor bhi zanjir-e-be-sada ki tarah
'faraaz' kis ke sitam ka gila karen kis se
ki be-niyaz hui KHalq bhi KHuda ki tarah
(2213) Peoples Rate This