Chal Nikalti Hain Gham-e-yar Se Baaten Kya Kya
chal nikalti hain gham-e-yar se baaten kya kya
hum ne bhi kin dar-o-diwar se baaten kya kya
baat ban aai hai phir se ki mere bare mein
us ne puchhin mere gham-KHwar se baaten kya kya
log lab-basta agar hon to nikal aati hain
chup ke pairaya-e-izhaar se baaten kya kya
kisi saudai ka qissa kisi harjai ki baat
log le aate hain bazar se baaten kya kya
hum ne bhi dast-shanasi ke bahane ki hain
hath mein hath liye pyar se baaten kya kya
kis ko bikna tha magar KHush hain ki is hile se
ho gain apne KHaridar se baaten kya kya
hum hain KHamosh ki majbur-e-mohabbat the 'faraaz'
warna mansub hain sarkar se baaten kya kya
(2281) Peoples Rate This